Tuesday, October 18, 2016

Nirasha.....

Badi ajeeb hai ye zindagi,
khushi ek pal ke liye
dukh verson baras ke liye
koi sukh chahta hai is jeevan me
to usse dukhon ki bhari bori hi mil jati hai
jahan foolon ke milne ki aaasha hai
wahan katon ki sej bich jati hai
Badi ajeeb hai ye zindagi.....................
Kuch satya kuch ghooth
Kabhi aasha kabhi nirasha
kabhi sawpno ko pane ki lalasa
inhi me ulagh kar rah gayi hai zindagi
Badi ajeeb hai hai ye zindagi................
Kabhi jati kabhi varn
Kabhi bhasha kabhi dharm
viwadoke ghere me hai aaj ki sanskriti
kaise kahen, kya yahi hai zindagi?
badi ajeeb hai ye zindagi...........
Pyar doge pyar milega
satkar doge samman milega
mehanat se har chij hai sambhav
kam se chori hai dukh ka anubhav
ham jaisa hain sochte nahi hai aisi zindagi?
fier bhi log kahte hain,
badi ajeeb hai ye zindagi.............
Manav jeevan ek baar hai mita
nahi milta hai barambar
har manav se pyar karen
nafrat ko de dutkar
Krodha chod dhairya apnayen
paap chod punya kamayen
ye dharti hai dharam ki
jitni marji fasal ugayen
Ek baar yatan kar dekhen-
Hai khusnasheeb ye zindagi
nahi hai ajeeb ye zindagifir bhi log kahte hai,
badi ajeeb hai ye zindagi.........

No comments:

Post a Comment

इंतज़ार

                                                                पल जब इंतज़ार का हो  कुछ इस तरह इंतज़ार करना जैसे जहां में तेरे लिए बस मैं ही ...