Saturday, March 7, 2015

Mera Bharat

Aaj jo desh ke halat hai kya ye humare jajbaat hai,
Hum kyu kho gye hai duniya ki bebasi me,
Fursat nhi hai kisi k paas kisi ki khushi me,
Humesa rota hua mujhe ye samaj najar aya hai,
Har taraf bus gareebi ka manjar najar aya hai,
Hum kya kar sakte hai inke liye ye kyu nhi sochte,
Kya insaaf de ye kyu nhi sochte,
Har pal logo ne khud ke liye kamaya hai,
In garibon ko kuch dene me kyu sukoon nhi aya hai,
Chalo aj phir se ummed ki lao jagaye,
Ek naye INDIA ka sapna banaye,
Humesa ki tarah yaad ane wala ek acha bhawisy banaye,
Jeete hue un logo ke liye kuch kar jaye,
Aur aman chain aur shanti se duniya ko hasaye,
Na koi bhukha hoga is desh me,
Na koi royega iss khel me ,
Aa jao sab mil kar karte hai koi nya nirman,
Swatantr karte hai phir se bharat ko aur banate hai use "MAHAN"

Being a gr8 INDIAN...

इंतज़ार

                                                                पल जब इंतज़ार का हो  कुछ इस तरह इंतज़ार करना जैसे जहां में तेरे लिए बस मैं ही ...