Tuesday, March 31, 2015

Meri Kahani.........

Khas Me sabse khas hai meri kahaani,
Suna Raha hu jise aaj mai apni zubaani,
Seekh gya hu mai duniya ko jeet pana,
Ab ban jayega koi naya aur bda afsana,
Har kami ab duniya ki puri najar ayegi,
Humesa duniya ko yaad Humari ayegi,
Mai ye nahi kahta hu mujhe Ghamand hua hai,
Mai kahta hu mera sapna pura hua hai,
Mai humesa se sab karna ki koshis me rha hu,
Anshu ko apne door karta rha hu,
Aaj taaron ka ek samooh mere sapno me aya,
Usne mere kaan me ek sapna gakar sunaya,
Lahre uthi manjil mujhe puri nazar ayi,
Us manjil se bus meri kuch pal ki doori najar ayi,
Mai khush hua kyunki meri duniya puri ho gyi,
Sapno ki kasti me ek zindagi puri ho gyi,
Ehsas hua sapna pura jankar sab khush hue,
Door rahne wale sitare ko hune jo paas paya...........

Mai duniya badalna chahta hu,......

Mai duniya badalna chahta hu,
Logon ki ummedon par khara utarna chahta hu,
Sach kahta hu mai kuch karna chahta hu,
Dil ki khushiyon ko logon me bharna chahta hu,
Din ho ya ho raat ho sawan ki barsaat,
Logon ke liya bus chalna chahta hu,
Afsane banate hai log aksar pure nahi hote,
Mai un afsano ko pura karna chahta hu,
Waqt ki ghadiyon ko mai samajhna chahta hu,
Mai duniya badalna chahta hu,
Awaz uthao mat tum ghabrao,
Mai sabka sath dena chahta hu,
Ruki hui Pratibha ko chor kuch karna chahta hu,
Mai duniya badalna chahta hu,
Ho gya hai ehsas mai kuch kar jaunga,
Logon ke vishvas ko jald pura kar paunga,
Mat ghabro kuch tum bhi kuch kar jao,
Mai logon ko ye kahna chahta hu,
Mai duniya badalna chahta hu,
Soch meri chhoti hai log aisa kahte hai,
Par mai na ab unki sun na chahta hu,
Logon ke dilon ko bus khus karna chahta hu,
Mai duniya badalna chahta hu,
Veer Vaibhav ki duniya ko mai phir padhana chahta hu,
Waqt ke sahil par kuch karna chahta hu,
Mai har dariya ko tair kar paar karna chahta hu,
Mai duniya badalna chahta hu,
Aao sath do mera uniya ke logon,
Ab na tum khud ko roko,
Mai ap sabko iss mahan kaam me shamil karna chahta hu,
Mai duniya badalna chahta hu................

Mai chahta hu kuch khas karna

Mai chahta hu kuch khas karna ,
Anshu na nikle kisi ke na ho kisi se darna,
Sab honge khush  duniya jab badal jayegi,
Yaad to jarur us din duniya ko meri ayegi,
Log kahte hai sab anmol hote hai,
Mai bhi kahta hu sabke liye duniya ke jhol hote hai,
Jab kuch karna chahta hu to log rok kyu lete hai,
Duniya ki iss udasi me khud ko chor kyu dete hai,
Mai kahta hu sab kuch dil se karna asan sa hota hai,
Har time nhi hota hai waqt jo samman ka hota hai,
Chalo ab taiyari kro doston kuch karke jaane ki,
Ab nazar hogi tum par Jamane ki.......................

इंतज़ार

                                                                पल जब इंतज़ार का हो  कुछ इस तरह इंतज़ार करना जैसे जहां में तेरे लिए बस मैं ही ...