Friday, February 6, 2015

Sapno ki ek nayi duniya hai humari,
Umeedon se bhari ho wo khushi ho sabke liye pyari,
Ehsas hai mujhe har dard ka jo duniya me bhara pada hai,
Waqt ke sath na jane q wo mahnga pada hai,
Ab nahi rahega koi parda iss duniya me,
Sabke sath hoga nyay sabyata se,
Kahta hu mai mat haaro yaron sab pa jaoge,
Ek din tum hi duniya ke sikandar kahlaoge,
Mumkin hai sab kuch bas apne ko pahchan lo,
Imandar bano aur dil se tum than lo,
Saari kaynat tumhare sath ho jayegi,
Khushi ki har jhalak se hi teri ZINDAGI badal jayegi,
Ho jayengi sambhawnaye hazar iss duniya me,
Banegi Zindagi me ek bahar iss duniya ki,
Khud ke andar ke us SURAJ kon tum pahchan lo,
Ab waqt hai tumhar bus ye tum jaan lo...............

#siddhant

Some latest

Kohinoor h Bharat desh apna,
Iski chamak ko na hum gawaenge,
Door hai suraj to kya hua,
Hum ek di khud Suraj bankar dikhayenge


Saari duniya me ek pyar se pyara hoga,
Ek chota sa sapna humara hoga,
Duniya ki ek anokhi saan hogi,
Saare logo me tumhari bhi pahchan hogi,


Mai logo ke liye kuch karna chahta hu,
Sabki duniya ko khushi se na bharna chahta hu,
Mere khuda sakti de mujhe itni ki vikas ho,
Duniya ki gahrai me bhi tu hi ek khaas ho,


BHARAT DARSHAN

Vastvikta nahi ye ek sacchai hai,
Bharat ki dharti humesa kuch naya layi hai,
Suraj ki pahli kiran jab padti hai dhara par,
Logo ke dilon me humesa umeed jagai hai,
Mai janta hu dil se apne iss desh ko,
Inshan jo rahta hai yaha uske bhesh ko,
Saare sitaron me ek apna sitara hoga,
Umeedon ke sath ek suraj duniya me humara hoga,
Dev Sanskriti ki parampara ko hum age badhayenge,
Ek din is dharti par devatv ka uday karvayenge,
Unche sapne jarur pure honge humare,
Kyunki yaha par hai positive energy ke Vaare nyare............
#siddhant

इंतज़ार

                                                                पल जब इंतज़ार का हो  कुछ इस तरह इंतज़ार करना जैसे जहां में तेरे लिए बस मैं ही ...