Sunday, October 5, 2014

My India My Nation

Sambhavnaye aisi ho ki desh badal jaye,
Parivartan ka har ek chaad kai naye rang laye,
Umeed ka suraj jalakar rakhna mere vatan ke logo,
Sayad yahi vakt koi naya eithihaas rachaye,
Har subha desh ko koi naya sapna mile,
Un Sapno me desh ko koi apna mile,
Majboor mat hona mere desh ke javano,
Ruko mat bas tm apne desh ko samhalo,
Apne iss tirenge ki shaan ko aur badha lo,
vakt ke har paheloo ko hum badal denge,
Ane wali peedhi ke liya kuch aur naya sochenge,
Desh hit me agar pran bhi jayae,
To mat karna afsos aey veer jawano,
DESH KE LIYE KUCH NAHI KIYA TO ITNA KAR DALO,
AA GYI HAI WO GHADI JAB DESH BADAL JAYEGA,
Aag ka dariyaa bhi jab shant kahlayega,
Jo soch liya hai vo aasan kahlayega,
 sayad yahi humare sapno ka India kahlayega.....








इंतज़ार

                                                                पल जब इंतज़ार का हो  कुछ इस तरह इंतज़ार करना जैसे जहां में तेरे लिए बस मैं ही ...