Wednesday, August 19, 2015

Kalpnaye Saari…………

kalpnaye Saari Jeevan Ki Soch Ban Ker Rah Gayi,
Jindagi Mujh Per Mein Jindagi Per Bojh Ban Ker Rah Gayi .
Mehal Tute Sare Aarju Har Reith Ka Dher Ban Ker Rah Gayi,
Dhu Se Bhage To Chanv Main Sard Aahen Mili,
Duniya Ek Dhoop Chanv Ka Khel Ban Kar Rah Gayi.
Sangeet Khamoshi Ka Hai , Sanse Bhi Sunai Deti Hai,
Tanhai Jese Dard Ki Awaz Ban Ke Rah Gayi.
Jo Suna Hota Hai Janha Main ,
Vo Har Kehani Meri Hakikat Ban Kar Rah Gayi.
Sab Hain Saase ,Dhadkan ,Hansi ,Khusi ,Rishte-Naate,
Per Jeete Hain Ese Jese Jindagi Mout Ban Ker Rah Gayi.
Yanha Kuch Mujhsa Nahi Yanha Jesi Mein Nahi,
Lagta Hai Mein Kisi Or Yug Ki Khoj Ban ker Rah Gayi.
Mil na Saki Jo Kabhi Suraj Or Sehar Se,
Mein Wohi Aadhuri Rat Ban Ker Rah Gayi,
Khawahishe Or Khabo Ka Samandar Tha Janha Ham Rehte The ,
Magar Khawahishe Bas Khawahishe Ban Ker Rah Gayi,
Radha Rukmani Arjun Sudama To Ban Na Saki,
Jise Darshan Na Mile Krishan Ka Mein Wo Meera Ban Kar Rah Gayi,
Sabhi Rakhte Hai Dhayan Saath Nibhate Hai Sabhi ,
Jise Uthaya Sabne Mein Wo Jeemedari Ban Kar Rah Gayi.
Labj Milna To Door Ashak Or Khushi Bhi Jo na De Sake,
Mein Wo Adhura Ehsaas Ban Kar Rah Gayi,
Jab Jisne Chaha Pda Or Chod Diya ,
Aant Jiska Na Badla Mein Wo Kitab Ban Kar Rah Gayi,
Sun Sko To Suno Har Aawaz mein Sunai Deti Hun,
Meri Awaz Khamoshi Ban Kar Rah Gayi,
Jo Jalaa Mandir Main, Diwali Main ,Matam Main Bhi,
Rashani Jiski Bekar Thi, Mein Wo DEEP Ban Ker Rah Gayi.

Mein Do Kadam Chalta……….

Mein Do Kadam Chalta……….
Mein Do Kadam Chalta Or Ek Pal ko Rukta Magar ,
Is Ek Pal Mein Jindagi Mujhse Chaar Kadam Age Badh Jati…..
Mein Fir Do Kadam Chalta Or Ek Pal Ko Rukta Magar,
Jindagi Mujhse Fir Chaar Kadam Age Badh Jati…..
Yun Jindagi ko JeetTa dekh Main Muskurata,
Or Jindagi……Meri Muskurahat per Heinran Hoti.
Ye Silsila Yunhi Chalta Rehta ..
Fir Ek Din Mujhe Hansta Dekh Ek Sitare Ne Pucha….
“Tum Har Ker Bhi Muskurate Ho ?
Kya Tumhe Dukh Nahi Hota Haar Ka ?”
Tab Maine Kahaa…………….
Mujhe Pata Hai Ek Esi Sarhad Aayegi Janha Se
Jindagi Chaar Kadam To Kya Ek Kadam Bhi Aage Na Badh Payegi
Or Tab Jindagi Mera Intejaar Kregi Or Main……..
Tab Bhi Yunhi Chalte Rukte Apni Raftar se Apni Dhun Main Wanha Pahuchunga….
Ek Pal Ruk Kar Jindagi Ki Tarh Dekh Kar Muskuraunga……
Beete Safar Ko Ek Najar Dekh Kar Apne Kadam Fir Badhaunga……….
Theekk Usi Pal Mein Jindagi Se Jeet Jaunga…….
Mein Apni Haar Per Bhi Muskuraya Tha Or
Apni Jeet Per Bhi Muskuraunga……..
Or Jindagi…….
Apni Jeet Per Bhi Na Muskura Payi Thi Or Apni Haar Per Bhi Na RO Payegi…….
Bas Tabhi Mein Jindagi Ko Jindagi JEENA Sikha Jaunga……….

इंतज़ार

                                                                पल जब इंतज़ार का हो  कुछ इस तरह इंतज़ार करना जैसे जहां में तेरे लिए बस मैं ही ...