Friday, February 6, 2015

BHARAT DARSHAN

Vastvikta nahi ye ek sacchai hai,
Bharat ki dharti humesa kuch naya layi hai,
Suraj ki pahli kiran jab padti hai dhara par,
Logo ke dilon me humesa umeed jagai hai,
Mai janta hu dil se apne iss desh ko,
Inshan jo rahta hai yaha uske bhesh ko,
Saare sitaron me ek apna sitara hoga,
Umeedon ke sath ek suraj duniya me humara hoga,
Dev Sanskriti ki parampara ko hum age badhayenge,
Ek din is dharti par devatv ka uday karvayenge,
Unche sapne jarur pure honge humare,
Kyunki yaha par hai positive energy ke Vaare nyare............
#siddhant

No comments:

Post a Comment

इंतज़ार

                                                                पल जब इंतज़ार का हो  कुछ इस तरह इंतज़ार करना जैसे जहां में तेरे लिए बस मैं ही ...