Tuesday, February 24, 2015

Apni Pahchan.

Apni ek pahchan banao,
Kuch karke duniya me chaa jao,
samay kam hai tumhare paas phir bhi na ghabrao,
Jo karna hai kar jao na samay ab tum gawao,
Daud rahi hai duniya kuch pane ki chah me,
Muskil nahi hai kuch agar tum chah jao,
Roshni faail rahi hai suraj ki dharti par,
uski chamak se khud ko chamkao,
Dekhna yeh chamak ek din kuch rang layegi,
Saari dunia me tumhari bhi pahchan ho jayegi,
Wagt ke saath tum bus chalna seekh lo,
Age bus tum apne kadam badhao,
Aao milkar ab sabka samman kare,
Khud se khud ki pahchan kare,
Utho jago nayi suruat karo,
Duniya me ab apna naam karo..............................

#siddhant


No comments:

Post a Comment

इंतज़ार

                                                                पल जब इंतज़ार का हो  कुछ इस तरह इंतज़ार करना जैसे जहां में तेरे लिए बस मैं ही ...